Posts

Samay ka Pahiya

 Bachpan vo dor tha jab Masti ,khel kudd jese shabd zuban pr ate hai magar abh mano jese inn shbdo ka koi maina hi na reh gya ho. Ek samay tha jab bina kisi fikar apni masti mai mast dosto ke sath ghuma krte the ,magar abh ye samay hai jab log dosto ko chod akele ghuma krte hai. Khel, khilony, sab ke sath masti mazak ye tha uss waqt ka time pas ,magar abh mano sab chod ke mobile hi reh gya hai sabke pas. Na mehngy kapde the na mehnga saman phir bhi Khushi itni ki mano satva aasman, magar abh zamane ki chka chond mai mano Paisa hi reh gya humari shaan. Log sab vahi hai jagha bhi vahi hai magar Samay ese chla ki mano sab sath reh kr bhi sath nahi hai. Kha phle bina kisi tension ke sara din soya krte thy abh thodi der sone ko bhi moka dhunde krte . Bachpan mai Jin mata pita ko humare pichy Humne dodty dekha hai ajj unko hi ek ek kadam bdhane k liye tadpte bhi humne dekha hai. Zindagi ki mara mari mai bhul gye ki apni bhi ek duniya hai ,do waqt ki roti ko kamate kamate bhul gye ki hume...